Thursday, 4 January 2018

Musing

Aksar sochti hun
Agar uss din woh baat nahi hui hoti
Toh kya hum ab bhi dost hote?
Aksar sochti hun
Tumhaari harkaton ke baad,
Kya kya nahi kiya maine,
Move on karne ke liye social hui aur fir anti-social bhi
Din bhar khush rahi aur raat bhar dukhi
Dard kya tha yeh toh baad mein samjh aaya
Jaane kitna waqt toh realisation mein nikal gayaa
Kya batau tumhe, kya karaa hai tumne?

Darr itna baitha diya ki, 'i don't know', mera fav ans ho gayaa
Depression aur repression mein farak zyaada lagta nahi abb
Mere lost old friend insomnia se fir se milaa diya
Trust toh abb zakhmon pe bhi nahi hota
Aur tum apnon ki baat kar rahe hoo

Khudki galati maan ke khudd ko hi bhul baithi
Compare karne lagi woh banne ke liye joh tumne chaaha hoga, aur dekho aaj kahan reh gayi,
Aksar sochti hun....